dil mein ek shor macha ho jaise
dil meñ ik shor machā ho jaise
dard phir chīḳh rahā ho jaise
terī furqat meñ ye mahsūs kiyā
jism se ruuh judā ho jaise
in havāoñ meñ ghuTan hai aisī
phuul ḳhushbū se ḳhafā ho jaise
yuuñ mujhe yaad kiyā hai us ne
sang par phuul khilā ho jaise
so gayā shahr magar ḳhvāb mirā
niiñd ko DhūñD rahā ho jaise
dard yuuñ ruuh kī taskīn huā
zaḳhm khāne meñ mazā ho jaise
us kī tanqīd ke lahje kī miThās
zahr meñ shahd ghulā ho jaise
jaam piitā hai ġhazal ke 'shādāb'
shā.erī koī nasha ho jaise
dil mein ek shor macha ho jaise
dard phir chiKH raha ho jaise
teri furqat mein ye mahsus kiya
jism se ruh juda ho jaise
in hawaon mein ghuTan hai aisi
phul KHushbu se KHafa ho jaise
yun mujhe yaad kiya hai us ne
sang par phul khila ho jaise
so gaya shahr magar KHwab mera
nind ko DhunD raha ho jaise
dard yun ruh ki taskin hua
zaKHm khane mein maza ho jaise
us ki tanqid ke lahje ki miThas
zahr mein shahd ghula ho jaise
jam pita hai ghazal ke 'shadab'
shaeri koi nasha ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.