dil mein ek Tis uThi aankh mein aansu jage
dil meñ ik Tiis uThī aañkh meñ aañsū jaage
shaam hote hī tirī yaad ke jugnū jaage
aur ho jā.egī bāġhoñ kī fazā itr-afshāñ
tū agar aa.e to sahrāoñ meñ ḳhushbū jaage
khul agar jaa.eñ siyah-mast ghanere gesū
saare māhaul meñ bangāl kā jaadū jaage
merī tanhā.ī meñ shahnā.ī huī hai shāmil
jab kahīñ duur kisī paañv meñ ghuñghrū jaage
luuT kar niiñd mirī chain se sone vaale
kaash vo aa.e ghaḌī merī tarah tū jaage
ho gayā baḳht-e-surayyā mirī qismat pe nisār
mere shānoñ pe tire surma.ī gesū jaage
sub.h-dam baaġh meñ khiltī hai kalī yuuñ 'tālib'
ik hasīñ ḳhvāb se jaise koī māh-rū jaage
dil mein ek Tis uThi aankh mein aansu jage
sham hote hi teri yaad ke jugnu jage
aur ho jaegi baghon ki faza itr-afshan
tu agar aae to sahraon mein KHushbu jage
khul agar jaen siyah-mast ghanere gesu
sare mahaul mein bangal ka jadu jage
meri tanhai mein shahnai hui hai shamil
jab kahin dur kisi panw mein ghunghru jage
luT kar nind meri chain se sone wale
kash wo aae ghaDi meri tarah tu jage
ho gaya baKHt-e-surayya meri qismat pe nisar
mere shanon pe tere surmai gesu jage
subh-dam bagh mein khilti hai kali yun 'talib'
ek hasin KHwab se jaise koi mah-ru jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.