dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai
dil meñ jab bhī kabhī duniyā se malāl aatā hai
kitne hī zohra-jabīnoñ kā ḳhayāl aatā hai
sham.a jaltī hai to parvānoñ kā aatā hai ḳhayāl
aur bujhtī hai to bujhne pe malāl aatā hai
nok-e-har-ḳhār nazar aatī hai kyuuñ tishna-e-ḳhūñ
dasht-e-pur-ḳhār meñ kyā koī ġhazāl aatā hai
ain hijrāñ meñ bhī miltī hai kabhī lazzat-e-vasl
ain lazzat meñ bhī lazzat pe zavāl aatā hai
dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai
kitne hi zohra-jabinon ka KHayal aata hai
shama jalti hai to parwanon ka aata hai KHayal
aur bujhti hai to bujhne pe malal aata hai
nok-e-har-KHar nazar aati hai kyun tishna-e-KHun
dasht-e-pur-KHar mein kya koi ghazal aata hai
ain hijran mein bhi milti hai kabhi lazzat-e-wasl
ain lazzat mein bhi lazzat pe zawal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.