dil mein jab se hua qayam tera
dil meñ jab se huā qayām tirā
har koī pūchhtā hai naam tirā
sab ke ehsās par hai chhāyā tū
har jagah par hai zikr-e-ām tirā
haT ke chaltī hai tere paikar se
dhuup kartī hai ehtirām tirā
tere qadmoñ ke saath chaltā hai
rāsta bhī huā ġhulām tirā
roz aatī to hai sabā 'anjum'
phir bhī laatī nahīñ payām tirā
dil mein jab se hua qayam tera
har koi puchhta hai nam tera
sab ke ehsas par hai chhaya tu
har jagah par hai zikr-e-am tera
haT ke chalti hai tere paikar se
dhup karti hai ehtiram tera
tere qadmon ke sath chalta hai
rasta bhi hua ghulam tera
roz aati to hai saba 'anjum'
phir bhi lati nahin payam tera
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 43)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.