dil mein jo aae achchha bura kah liya karo
dil meñ jo aa.e achchhā burā kah liyā karo
tum bhī kisī se apnī ḳhatā kah liyā karo
do āñkheñ ab bhī dekhtī haiñ rāsta tirā
jā kar kabhī salām duā kah liyā karo
badlā huā hai ishq kā dastūr merī jaañ
har sañg-dil ko jān-e-vafā kah liyā karo
dilbar se dil kī baat chhupānā gunāh hai
jis din ho ḳhush-gavār fazā kah liyā karo
kyoñ dūsroñ ke sāmne rakhte ho apnī baat
suntā hai sab kī baat ḳhudā kah liyā karo
maanā ab apne beach kahīñ kuchh nahīñ rahā
dil chāhe kuchh jo kahnā zarā kah liyā karo
'raḳhshāñ' ġhazal kī aabrū rakhnā bhī hai kamāl
sūjhe jo kuchh ḳhayāl nayā kah liyā karo
dil mein jo aae achchha bura kah liya karo
tum bhi kisi se apni KHata kah liya karo
do aankhen ab bhi dekhti hain rasta tera
ja kar kabhi salam dua kah liya karo
badla hua hai ishq ka dastur meri jaan
har sang-dil ko jaan-e-wafa kah liya karo
dilbar se dil ki baat chhupana gunah hai
jis din ho KHush-gawar faza kah liya karo
kyon dusron ke samne rakhte ho apni baat
sunta hai sab ki baat KHuda kah liya karo
mana ab apne beach kahin kuchh nahin raha
dil chahe kuchh jo kahna zara kah liya karo
'raKHshan' ghazal ki aabru rakhna bhi hai kamal
sujhe jo kuchh KHayal naya kah liya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.