dil mein jo ghuTan rahti thi kam ho to gai hai
dil meñ jo ghuTan rahtī thī kam ho to ga.ī hai
har aarzū mamnūn-e-karam ho to ga.ī hai
pahchān na pāoge kisī shaḳhs kī āvāz
har ek sadā zarb-e-sitam ho to ga.ī hai
ab kyuuñ ye havā dete haiñ afkār-e-pareshāñ
chingārī har ik sho.ala-e-ġham ho to ga.ī hai
kis kis kī taraf apnī nigāhoñ ko jamā.eñ
har shakl hī tasvīr-e-sanam ho to ga.ī hai
jis aañkh meñ mazbūt irādoñ kī chamak thī
is daur meñ vo aañkh bhī nam ho to ga.ī hai
shikva nahīñ tujh se koī ai gardish-e-daurāñ
mujh par bhī tirī chashm-e-karam ho to ga.ī hai
jis ḳhvāb kī ta.abīr sukūñ ho na ḳhushī ho
us ḳhvāb kī ta.abīr sitam ho to ga.ī hai
jo baat zabāñ par nahīñ aa.ī kabhī 'shāhid'
chehre pe vahī baat raqam ho to ga.ī hai
dil mein jo ghuTan rahti thi kam ho to gai hai
har aarzu mamnun-e-karam ho to gai hai
pahchan na paoge kisi shaKHs ki aawaz
har ek sada zarb-e-sitam ho to gai hai
ab kyun ye hawa dete hain afkar-e-pareshan
chingari har ek shoala-e-gham ho to gai hai
kis kis ki taraf apni nigahon ko jamaen
har shakl hi taswir-e-sanam ho to gai hai
jis aankh mein mazbut iradon ki chamak thi
is daur mein wo aankh bhi nam ho to gai hai
shikwa nahin tujh se koi ai gardish-e-dauran
mujh par bhi teri chashm-e-karam ho to gai hai
jis KHwab ki tabir sukun ho na KHushi ho
us KHwab ki tabir sitam ho to gai hai
jo baat zaban par nahin aai kabhi 'shahid'
chehre pe wahi baat raqam ho to gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.