dil mein jo tha wo ho gaya mujhko suna ke chup
dil meñ jo thā vo ho gayā mujh ko sunā ke chup
sun kar huā huuñ us ko maiñ aañsū bahā ke chup
kahtā thā apnā haal maiñ tum ko sunā.ūñgā
na jaane kyoñ vo ho gayā aañsū bahā ke chup
maiñ ne to bevafā.ī kā chheḌā thā tazkira
muñh pe lagā ke uñglī phir us ne kahā ki chup
us kī kisī bhī baat kā matlab bhī kuchh nahīñ
ho jā.egā vo dekhnā ḳhud baḌbaḌā ke chup
ḳhāmoshiyoñ kī siskiyoñ meñ shor thā bahut
tanhā.iyoñ meñ ho gayā vo gungunā ke chup
kuchh din se apne aap se thā maiñ dukhī bahut
'irshād' ro ke ho gayā ḳhud ko hañsā ke chup
dil mein jo tha wo ho gaya mujh ko suna ke chup
sun kar hua hun us ko main aansu baha ke chup
kahta tha apna haal main tum ko sunaunga
na jaane kyon wo ho gaya aansu baha ke chup
main ne to bewafai ka chheDa tha tazkira
munh pe laga ke ungli phir us ne kaha ki chup
us ki kisi bhi baat ka matlab bhi kuchh nahin
ho jaega wo dekhna KHud baDbaDa ke chup
KHamoshiyon ki siskiyon mein shor tha bahut
tanhaiyon mein ho gaya wo gunguna ke chup
kuchh din se apne aap se tha main dukhi bahut
'irshad' ro ke ho gaya KHud ko hansa ke chup
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 98)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.