dil mein jo zaKHm hai un ko bhi TaTole koi
dil meñ jo zaḳhm hai un ko bhī TaTole koī
ab ye chāhat hai kabhī pyaar se bole koī
dekhnā ye hai ki pighaltā hai kahāñ tak patthar
dil meñ bhaḌkā to gayā pyaar ke sho.ale koī
maiñ ne ḳhaas ashkoñ ko motī kī tarah rakkhā hai
un ko ehsās ke dhāge meñ piro le koī
sher duniyā ke tū kuchh der ko gūñgā ho jā
muuñd kar aañkh zarā der to so le koī
jin se tultā hai zamāne kā ye chāñdī sonā
aise bāToñ se 'kuñvar' pyaar na tole koī
dil mein jo zaKHm hai un ko bhi TaTole koi
ab ye chahat hai kabhi pyar se bole koi
dekhna ye hai ki pighalta hai kahan tak patthar
dil mein bhaDka to gaya pyar ke shoale koi
main ne KHas ashkon ko moti ki tarah rakkha hai
un ko ehsas ke dhage mein piro le koi
sher duniya ke tu kuchh der ko gunga ho ja
mund kar aankh zara der to so le koi
jin se tulta hai zamane ka ye chandi sona
aise baTon se 'kunwar' pyar na tole koi
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 51)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.