dil mein KHayal-e-ishq tha mehman ki tarah
Interesting Fact
Tajdeed-e-Nau (January-March, 2007)
dil meñ ḳhayāl-e-ishq thā mehmān kī tarah
armāñ sajā thā 'mīr' ke dīvān kī tarah
vus.at zamīñ kī kho ga.ī bastī kī bhiiḌ meñ
galiyoñ meñ shor bas gayā maidān kī tarah
sar par falak ko oḌhe bichhā.e zamīn vo
baiThā hai shaan se kisī sultān kī tarah
ġhāfil mire vajūd se saaya mirā rahā
thā ham-safar vo shahr meñ anjān kī tarah
rakhtā huuñ maiñ aziiz rivāyat kā silsila
girte mire makān ke dālān kī tarah
ye munfa.il sī zindagī mujh ko nahīñ qubūl
ahd-e-junūñ ke chāk-e-garebān kī tarah
tevar se us ke aag tamannā meñ lag ga.ī
jalne lagā hai dil mirā shamshān kī tarah
tere baġhair 'sāhnī' tāroñ ke darmiyāñ
mahfil udaas thī rah-e-vīrān kī tarah
dil mein KHayal-e-ishq tha mehman ki tarah
arman saja tha 'mir' ke diwan ki tarah
wusat zamin ki kho gai basti ki bhiD mein
galiyon mein shor bas gaya maidan ki tarah
sar par falak ko oDhe bichhae zamin wo
baiTha hai shan se kisi sultan ki tarah
ghafil mere wajud se saya mera raha
tha ham-safar wo shahr mein anjaan ki tarah
rakhta hun main aziz riwayat ka silsila
girte mere makan ke dalan ki tarah
ye munfail si zindagi mujh ko nahin qubul
ahd-e-junun ke chaak-e-gareban ki tarah
tewar se us ke aag tamanna mein lag gai
jalne laga hai dil mera shamshan ki tarah
tere baghair 'sahni' taron ke darmiyan
mahfil udas thi rah-e-viran ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.