dil mein koi arman koi hasrat to nahin hai
dil meñ koī armāñ koī hasrat to nahīñ hai
ab sabr se baḌh kar koī daulat to nahīñ hai
dekhūñ to gumāñ ḳhuld kā hotā hai kyoñ aksar
qadmoñ ke tale maañ tire jannat to nahīñ hai
Dartā huuñ kahīñ tum bhī mujhe chhoḌ na jaao
sahne kī ġham-e-hijr kī aadat to nahīñ hai
ġhairoñ se mire baare meñ taftīsh sī karnā
ab tū hī batā kyā ye mohabbat to nahīñ hai
dil mein koi arman koi hasrat to nahin hai
ab sabr se baDh kar koi daulat to nahin hai
dekhun to guman KHuld ka hota hai kyon aksar
qadmon ke tale man tere jannat to nahin hai
Darta hun kahin tum bhi mujhe chhoD na jao
sahne ki gham-e-hijr ki aadat to nahin hai
ghairon se mere bare mein taftish si karna
ab tu hi bata kya ye mohabbat to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.