dil mein koi bhi tamanna kyun ho
dil meñ koī bhī tamannā kyuuñ ho
raat din us kā nazāra kyuuñ ho
jitnā dekhā hai vo utnā to nahīñ
jitnā samjhā hai vo utnā kyuuñ ho
tumheñ milnā hī nahīñ jab ham ko
dil tirī samt lapaktā kyuuñ ho
haath se haath nahīñ miltā jab
koī bhī aap ke jaisā kyuuñ ho
mil hī jā.egā jo milnā hogā
darmiyāñ koī vasīla kyuuñ ho
jo nahīñ ulTā nahīñ hai ulTā
jo nahīñ sīdhā vo sīdhā kyuuñ ho
ek hī baat ko kyuuñ dohrā.eñ
ek hī sher dobāra kyuuñ ho
dil mein koi bhi tamanna kyun ho
raat din us ka nazara kyun ho
jitna dekha hai wo utna to nahin
jitna samjha hai wo utna kyun ho
tumhein milna hi nahin jab hum ko
dil teri samt lapakta kyun ho
hath se hath nahin milta jab
koi bhi aap ke jaisa kyun ho
mil hi jaega jo milna hoga
darmiyan koi wasila kyun ho
jo nahin ulTa nahin hai ulTa
jo nahin sidha wo sidha kyun ho
ek hi baat ko kyun dohraen
ek hi sher dobara kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.