dil mein kya tha jo kho gaya hai kahin
dil meñ kyā thā jo kho gayā hai kahīñ
merā nuqsān ho gayā hai kahīñ
vo tirī khoj meñ rahā aur phir
ġhāliban tujh ko ro gayā hai kahīñ
rañg vo le gayā magar mujh meñ
apnī ḳhushbū samo gayā hai kahīñ
terī āvāz bhī nahīñ suntā
kyā mirā baḳht so gayā hai kahīñ
ham-rah-e-sad-malāl hai vo kabhī
aur har rañj dho gayā hai kahīñ
yuuñ tahī-dast-o-dil-girifta na thā
kuchh na kuchh mujh ko ho gayā hai kahīñ
dil mein kya tha jo kho gaya hai kahin
mera nuqsan ho gaya hai kahin
wo teri khoj mein raha aur phir
ghaaliban tujh ko ro gaya hai kahin
rang wo le gaya magar mujh mein
apni KHushbu samo gaya hai kahin
teri aawaz bhi nahin sunta
kya mera baKHt so gaya hai kahin
ham-rah-e-sad-malal hai wo kabhi
aur har ranj dho gaya hai kahin
yun tahi-dast-o-dil-girifta na tha
kuchh na kuchh mujh ko ho gaya hai kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.