Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein kyun-kar samawen dagh bahut

Mirza Mohammad Ali Fidvi

dil mein kyun-kar samawen dagh bahut

Mirza Mohammad Ali Fidvi

MORE BYMirza Mohammad Ali Fidvi

    dil meñ kyūñ-kar samāveñ daaġh bahut

    ek qindīl aur charāġh bahut

    qaid-e-hastī tak ḳharābī hai

    mar ga.e bas jahāñ farāġh bahut

    dil-e-pur-dāġh sair kahāñ

    ye musallam jahāñ meñ baaġh bahut

    kyā bahār aa.ī bāġhbāñ gul

    in dinoñ hai tujhe dimāġh bahut

    dil-e-gum-gashta nishān kahāñ

    le chuke aah ham surāġh bahut

    rashk-e-gul kyā milā koī 'fidvī'

    tujh ko dekhūñ huuñ bāġh-bāġh bahut

    dil mein kyun-kar samawen dagh bahut

    ek qindil aur charagh bahut

    qaid-e-hasti hi tak KHarabi hai

    mar gae bas jahan faragh bahut

    dil-e-pur-dagh ki si sair kahan

    ye musallam jahan mein bagh bahut

    kya bahaar aai baghban gul ki

    in dinon hai tujhe dimagh bahut

    dil-e-gum-gashta ka nishan kahan

    le chuke aah hum suragh bahut

    rashk-e-gul kya mila koi 'fidwi'

    tujh ko dekhun hun bagh-bagh bahut

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now