dil mein mahak rahe hain kisi aarzu ke phul
dil meñ mahak rahe haiñ kisī aarzū ke phuul
palkoñ pe khilne vaale haiñ shāyad lahū ke phuul
ab tak hai koī baat mujhe yaad harf harf
ab tak maiñ chun rahā huuñ kisī guftugū ke phuul
kaliyāñ chaTak rahī thiiñ ki āvāz thī koī
ab tak samā.atoñ meñ haiñ ik ḳhush-gulū ke phuul
mere lahū kā rañg hai har nok-e-ḳhār par
sahrā meñ har taraf haiñ mirī justujū ke phuul
dīvāne kal jo log the phūloñ ke ishq meñ
ab un ke dāmanoñ meñ bhare haiñ rafū ke phuul
dil mein mahak rahe hain kisi aarzu ke phul
palkon pe khilne wale hain shayad lahu ke phul
ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf
ab tak main chun raha hun kisi guftugu ke phul
kaliyan chaTak rahi thin ki aawaz thi koi
ab tak samaaton mein hain ek KHush-gulu ke phul
mere lahu ka rang hai har nok-e-KHar par
sahra mein har taraf hain meri justuju ke phul
diwane kal jo log the phulon ke ishq mein
ab un ke damanon mein bhare hain rafu ke phul
- Book : tarkash (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.