dil mein mahbub ka ghar ho to ghazal hoti hai
dil meñ mahbūb kā ghar ho to ġhazal hotī hai
koī masjūd-e-nazar ho to ġhazal hotī hai
naġhma hotā hai javāñ rang-e-shikast-e-dil se
aañkh jab ḳhuun se tar ho to ġhazal hotī hai
soz fariyād meñ aa.e to kahāñ se aa.e
tapish-e-soz-e-jigar ho to ġhazal hotī hai
zikr-e-mahbūb hai pāband-e-taqaddus kitnā
bā-vazū aañkh agar ho to ġhazal hotī hai
tīrgī ho to sitāroñ pe nikhār aatā hai
shaam mahrūm-e-sahar ho to ġhazal hotī hai
nigah-e-shauq meñ kaunain simaT aate haiñ
donoñ aalam kī ḳhabar ho to ġhazal hotī hai
raas aatī nahīñ is phuul ko gulshan kī havā
zindagī ḳhāk-basar ho to ġhazal hotī hai
husn rangīnī-e-ash.ār kā sar-chashma hai
husn kā dil pe asar ho to ġhazal hotī hai
dil kī duniyā jise kahte haiñ vo duniyā hī 'tufail'
dost kī rāhguzar ho to ġhazal hotī hai
dil mein mahbub ka ghar ho to ghazal hoti hai
koi masjud-e-nazar ho to ghazal hoti hai
naghma hota hai jawan rang-e-shikast-e-dil se
aankh jab KHun se tar ho to ghazal hoti hai
soz fariyaad mein aae to kahan se aae
tapish-e-soz-e-jigar ho to ghazal hoti hai
zikr-e-mahbub hai paband-e-taqaddus kitna
ba-wazu aankh agar ho to ghazal hoti hai
tirgi ho to sitaron pe nikhaar aata hai
sham mahrum-e-sahar ho to ghazal hoti hai
nigah-e-shauq mein kaunain simaT aate hain
donon aalam ki KHabar ho to ghazal hoti hai
ras aati nahin is phul ko gulshan ki hawa
zindagi KHak-basar ho to ghazal hoti hai
husn rangini-e-ashaar ka sar-chashma hai
husn ka dil pe asar ho to ghazal hoti hai
dil ki duniya jise kahte hain wo duniya hi 'tufail'
dost ki rahguzar ho to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.