dil mein mere arman bahut hain
dil meñ mire armān bahut haiñ
is ghar meñ mehmān bahut haiñ
aap zamāne ko kyā jāneñ
aap abhī nādān bahut haiñ
aise hī hans kar dil rakh lo
vaise to armān bahut haiñ
hai to un kā naam laboñ par
itne bhī ausān bahut haiñ
ġhaur karoge to kāñToñ ke
gulshan par ehsān bahut haiñ
dil mein mere arman bahut hain
is ghar mein mehman bahut hain
aap zamane ko kya jaanen
aap abhi nadan bahut hain
aise hi hans kar dil rakh lo
waise to arman bahut hain
hai to un ka nam labon par
itne bhi ausan bahut hain
ghaur karoge to kanTon ke
gulshan par ehsan bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.