dil mein nafrat ki lagi aag bujha di jae
dil meñ nafrat kī lagī aag bujhā dī jaa.e
ab zamāne ko mohabbat kī fazā dī jaa.e
baat lāzim hai usūloñ kī magar ai yaaro
pahle dīvār 'adāvat kī girā dī jaa.e
phir jale ghar na kisī kā bhī hukūmat meñ koī
be-hisī vaqt kī jo bhī ho miTā dī jaa.e
kab talak yūñhī sahoge ye sitam duniyā ke
ab to āvāz baġhāvat kī uThā dī jaa.e
dil mein nafrat ki lagi aag bujha di jae
ab zamane ko mohabbat ki faza di jae
baat lazim hai usulon ki magar ai yaro
pahle diwar 'adawat ki gira di jae
phir jale ghar na kisi ka bhi hukumat mein koi
be-hisi waqt ki jo bhi ho miTa di jae
kab talak yunhi sahoge ye sitam duniya ke
ab to aawaz baghawat ki uTha di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.