Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun

Ejazulhaq Shahab

dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    dil meñ paiġhām-e-mohabbat utārā jā.ūñ

    is se pahle ki kisī bhiiḌ meñ maarā jā.ūñ

    vasl chaah meñ ye hijr kamāyā maiñ ne

    hijr ko ḳharch karūñ ziist se haarā jā.ūñ

    rūThī taqdīr huuñ to mujh ko manāyā jaa.e

    aur gar bigḌā muqaddar huuñ sañvārā jā.ūñ

    ek arse se ḳhalāoñ se sadā aatī hai

    aisā lagtā hai mujhe us ne pukārā jā.ūñ

    maiñ nahīñ un meñ ki jo ḳhud ko kisī par thopeñ

    bhar gayā mujh se agar dil ye tumhārā jā.ūñ

    ab yahāñ pahle jazbāt meñ shiddat na rahī

    ab yahāñ hogā nahīñ apnā guzārā jā.ūñ

    de ḳhudā kaash use dil masīhā.ī 'shahāb'

    aur sahīfoñ maiñ phir us pe utārā jā.ūñ

    dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun

    is se pahle ki kisi bhiD mein mara jaun

    wasl ki chah mein ye hijr kamaya main ne

    hijr ko KHarch karun zist se haara jaun

    ruThi taqdir hun to mujh ko manaya jae

    aur gar bigDa muqaddar hun sanwara jaun

    ek arse se KHalaon se sada aati hai

    aisa lagta hai mujhe us ne pukara jaun

    main nahin un mein ki jo KHud ko kisi par thopen

    bhar gaya mujh se agar dil ye tumhaara jaun

    ab yahan pahle si jazbaat mein shiddat na rahi

    ab yahan hoga nahin apna guzara jaun

    de KHuda kash use dil ki masihai 'shahab'

    aur sahifon sa main phir us pe utara jaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now