dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho
dil meñ paivast kisī gul kī nishānī dekho
aao jangal kī taraf raat kī raanī dekho
merī āñkhoñ ko mayassar nahīñ sukh ke aañsū
ye jo paanī hai zarā is kī ravānī dekho
tum agar dekh chuke ho mirī āñkhoñ kā sarāb
aao ab aa ke isī dasht kā paanī dekho
itnā pyāsā hai ki sāhil pe zabāñ phertā hai
tum samundar kī kabhī tishna-dahānī dekho
ek pal meñ tumheñ duniyā samajh aa jā.egī
is kahānī se alag ho ke kahānī dekho
misra'a-e-maut lagāte haiñ sab is par 'shahbāz'
zindagī ke liye tum dūsrā saanī dekho
dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho
aao jangal ki taraf raat ki rani dekho
meri aankhon ko mayassar nahin sukh ke aansu
ye jo pani hai zara is ki rawani dekho
tum agar dekh chuke ho meri aankhon ka sarab
aao ab aa ke isi dasht ka pani dekho
itna pyasa hai ki sahil pe zaban pherta hai
tum samundar ki kabhi tishna-dahani dekho
ek pal mein tumhein duniya samajh aa jaegi
is kahani se alag ho ke kahani dekho
misra'a-e-maut lagate hain sab is par 'shahbaz'
zindagi ke liye tum dusra sani dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.