dil mein phir aarzu ki tab khule
dil meñ phir aarzū kī taab khule
tere hoñToñ pe jab gulāb khile
jab na tum aa.e shaam hone tak
dard chehre pe be-hisāb khule
merā chehra thā aks us ke the
ā.inoñ meñ ajab sarāb khule
terī tasvīr dekh lī jab bhī
dil meñ phir kitne pech-o-tāb khule
jab vo aa.e haiñ sāmne 'tālib'
hasratoñ ke ka.ī gulāb khile
dil mein phir aarzu ki tab khule
tere honTon pe jab gulab khile
jab na tum aae sham hone tak
dard chehre pe be-hisab khule
mera chehra tha aks us ke the
aainon mein ajab sarab khule
teri taswir dekh li jab bhi
dil mein phir kitne pech-o-tab khule
jab wo aae hain samne 'talib'
hasraton ke kai gulab khile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.