Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein prit basai jab se maine kisi harjai ki

Tufail Hoshiarpuri

dil mein prit basai jab se maine kisi harjai ki

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    dil meñ priit basā.ī jab se maiñ ne kisī harjā.ī

    kūche kūche phail ga.ī hai baat mirī rusvā.ī

    taare barsā.eñ angāre kirneñ tiir chalātī haiñ

    nāgin ban kar Das letī hai dil ko raat judā.ī

    jaltā ho jangal meñ jaise peḌ mahaktā chandan

    phūñk rahī hai aise mujh ko aag mirī tanhā.ī

    jin ḳhātir duniyā chhoḌī galī galī badnām hue

    vo kahte haiñ ham na suneñge baat kisī saudā.ī

    bhūle sapne bisrī yādeñ āñkhoñ meñ phir jaatī haiñ

    so.e dard jagā detī hai le sautan shahnā.ī

    kaun sune singār bāteñ nain bolī samjhe kaun

    nir-mohī bin tere kahānī kaun kahe añgḌā.ī

    tere naam diip jalāyā man suunī nagrī meñ

    pyaar se maiñ ne maañg meñ bhar dhuul tirī añgnā.ī

    shaam ke man meñ kaun basā hai ye to shaam jaane hai

    rādhā ke nainan meñ basī hai sūrat shaam kanhā.ī

    dil mein prit basai jab se main ne kisi harjai ki

    kuche kuche phail gai hai baat meri ruswai ki

    tare barsaen angare kirnen tir chalati hain

    nagin ban kar Das leti hai dil ko raat judai ki

    jalta ho jangal mein jaise peD mahakta chandan ka

    phunk rahi hai aise mujh ko aag meri tanhai ki

    jin ki KHatir duniya chhoDi gali gali badnam hue

    wo kahte hain hum na sunenge baat kisi saudai ki

    bhule sapne bisri yaaden aankhon mein phir jati hain

    soe dard jaga deti hai le sautan shahnai ki

    kaun sune singar ki baaten nain ki boli samjhe kaun

    nir-mohi bin tere kahani kaun kahe angDai ki

    tere nam ka dip jalaya man ki suni nagri mein

    pyar se main ne mang mein bhar li dhul teri angnai ki

    sham ke man mein kaun basa hai ye to sham hi jaane hai

    radha ke nainan mein basi hai surat sham kanhai ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now