dil mein rah jate hain sab log bhulane wale
dil meñ rah jaate haiñ sab log bhulāne vaale
ham haiñ har haal meñ rishtoñ ko nibhāne vaale
kyā koī rang hai jo mujh ko mukammal kar de
merī tasvīr ko rangoñ se sajāne vaale
ham ne tā-'umr tujhe man meñ basā.e rakkhā
ranj to aur bhī the dil se lagāne vaale
aisā lagtā thā mujhe kho ke badal jā.egā
aaj bhī us ke haiñ andāz purāne vaale
merī pahchān to duniyā meñ thī tujh se lekin
ab na.e Dhang se jāneñge zamāne vaale
mujh ko jaanā hai kisī aur hī manzil kī taraf
ab mujhe yaad na kar chhoḌ ke jaane vaale
maiñ ne is vāste is aag ko bujhne na diyā
mere apne the mujhe zinda jalāne vaale
dil mein rah jate hain sab log bhulane wale
hum hain har haal mein rishton ko nibhane wale
kya koi rang hai jo mujh ko mukammal kar de
meri taswir ko rangon se sajaane wale
hum ne ta-'umr tujhe man mein basae rakkha
ranj to aur bhi the dil se lagane wale
aisa lagta tha mujhe kho ke badal jaega
aaj bhi us ke hain andaz purane wale
meri pahchan to duniya mein thi tujh se lekin
ab nae Dhang se jaanenge zamane wale
mujh ko jaana hai kisi aur hi manzil ki taraf
ab mujhe yaad na kar chhoD ke jaane wale
main ne is waste is aag ko bujhne na diya
mere apne the mujhe zinda jalane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.