dil mein rahe wo shaKHs ragon mein rawan na ho
dil meñ rahe vo shaḳhs ragoñ meñ ravāñ na ho
maiñ chāhtā huuñ zaḳhm-e-jigar kā nishāñ na ho
dastak sunī to ruuh kī chīḳheñ nikal ga.iiñ
jaise koī badan meñ jahāñ thā vahāñ na ho
ik umr ho ki jis meñ mayassar hoñ cigareteñ
ik dostī ho jis meñ ye sūd-o-ziyāñ na ho
ik ḳhush-kalām pūchhe tumheñ chāhiye sukūñ
ik ḳhush-kalām pūchhe magar mujh se haañ na ho
maiñ chāhtā huuñ ek ho bas ek ham-safar
aisā jo mere dil kī tarah bad-zabāñ na ho
dil mein rahe wo shaKHs ragon mein rawan na ho
main chahta hun zaKHm-e-jigar ka nishan na ho
dastak suni to ruh ki chiKHen nikal gain
jaise koi badan mein jahan tha wahan na ho
ek umr ho ki jis mein mayassar hon cigareten
ek dosti ho jis mein ye sud-o-ziyan na ho
ek KHush-kalam puchhe tumhein chahiye sukun
ek KHush-kalam puchhe magar mujh se han na ho
main chahta hun ek ho bas ek ham-safar
aisa jo mere dil ki tarah bad-zaban na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.