dil mein rahta hai koi dil hi ki KHatir KHamosh
dil meñ rahtā hai koī dil hī kī ḳhātir ḳhāmosh
jaise tasvīr meñ baiThā ho musavvir ḳhāmosh
dil kī ḳhāmoshī se ghabrā ke uThātā huuñ nazar
ek āvāz sī aatī hai musāfir ḳhāmosh
is ta.āruf kā na āġhāz na anjām koī
kar diyā ek ḳhamoshī ne mujhe phir ḳhāmosh
kuchh na sun kar bhī to kahnā hai ki haañ sunte haiñ
kuchh na kah kar bhī to honā hai bil-āḳhir ḳhāmosh
Duub saktī hai ye kashtī tirī sargoshī se
ai mire ḳhvāb mire hāmī-o-nāsir ḳhāmosh
chyūñTiyāñ reñg rahī haiñ kahīñ andar 'ādil'
ham haiñ dīvār ke mānind ba-zāhir ḳhāmosh
dil mein rahta hai koi dil hi ki KHatir KHamosh
jaise taswir mein baiTha ho musawwir KHamosh
dil ki KHamoshi se ghabra ke uThata hun nazar
ek aawaz si aati hai musafir KHamosh
is taaruf ka na aaghaz na anjam koi
kar diya ek KHamoshi ne mujhe phir KHamosh
kuchh na sun kar bhi to kahna hai ki han sunte hain
kuchh na kah kar bhi to hona hai bil-aKHir KHamosh
Dub sakti hai ye kashti teri sargoshi se
ai mere KHwab mere hami-o-nasir KHamosh
chyunTiyan reng rahi hain kahin andar 'adil'
hum hain diwar ke manind ba-zahir KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.