dil mein rumuz-e-ishq ka daftar liye hue
dil meñ rumūz-e-'ishq kā daftar liye hue
kuuze meñ phir rahā huuñ samundar liye hue
aise hī bal hai merā muqaddar liye hue
jaise ki un kī zulf-e-mo'ambar liye hue
kyā ḳhaak aa.ine meñ nazar aa.e rū-e-dost
dil hai ḳhudī kī gard-e-mukaddar liye hue
sadqe tire qazā ki subuk-dosh kar diyā
bār-e-gunah thā bhārī maiñ sar par liye hue
hirs-o-havā ke phandoñ meñ har dam phañse hue
kitne vabāl-e-jāñ haiñ tavangar liye hue
ḳhail-o-hasham ko dekh ke dozaḳh bhī kaañp uThā
pahuñchā jo maiñ gunāhoñ kā lashkar liye hue
khaTkā na jaan kā hai na kuchh fikr maal kī
saarī tasalliyāñ haiñ gadāgar liye hue
ārāsta hai durr-e-ma.ānī se sar-basar
'jauhar' ġhazal ye tābish-e-jauhar liye hue
dil mein rumuz-e-'ishq ka daftar liye hue
kuze mein phir raha hun samundar liye hue
aise hi bal hai mera muqaddar liye hue
jaise ki un ki zulf-e-mo'ambar liye hue
kya KHak aaine mein nazar aae ru-e-dost
dil hai KHudi ki gard-e-mukaddar liye hue
sadqe tere qaza ki subuk-dosh kar diya
bar-e-gunah tha bhaari main sar par liye hue
hirs-o-hawa ke phandon mein har dam phanse hue
kitne wabaal-e-jaan hain tawangar liye hue
KHail-o-hasham ko dekh ke dozaKH bhi kanp uTha
pahuncha jo main gunahon ka lashkar liye hue
khaTka na jaan ka hai na kuchh fikr mal ki
sari tasalliyan hain gadagar liye hue
aarasta hai durr-e-maani se sar-basar
'jauhar' ghazal ye tabish-e-jauhar liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.