dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi
dil meñ shagufta gul bhī haiñ raushan charāġh bhī
kyā chiiz haiñ ye soz-e-mohabbat ke daaġh bhī
TuuTā thā ek jām-e-sifālī na jaane kyuuñ
rindoñ ne toḌ Daale munaqqash ayāġh bhī
tadbīr-e-chāra-sāzī-e-dil sochne ke ba.ad
rahtā hai bad-gumāñ mire dil se dimāġh bhī
ham vo nahīñ jo maut ke pardoñ meñ kho ga.e
ham ne to zindagī kā lagāyā surāġh bhī
ham ne to rāz-e-ishq chhupāyā magar 'farīd'
chāragaroñ ne DhūñDh liye dil ke daaġh bhī
dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi
kya chiz hain ye soz-e-mohabbat ke dagh bhi
TuTa tha ek jam-e-sifali na jaane kyun
rindon ne toD Dale munaqqash ayagh bhi
tadbir-e-chaara-sazi-e-dil sochne ke baad
rahta hai bad-guman mere dil se dimagh bhi
hum wo nahin jo maut ke pardon mein kho gae
hum ne to zindagi ka lagaya suragh bhi
hum ne to raaz-e-ishq chhupaya magar 'farid'
chaaragaron ne DhunDh liye dil ke dagh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.