dil mein sharminda hain ehsas-e-KHata rakhte hain
dil mein sharminda hain ehsas-e-KHata rakhte hain
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
dil meñ sharminda haiñ ehsās-e-ḳhatā rakhte haiñ
ham gunahgār haiñ par ḳhauf-e-ḳhudā rakhte haiñ
vo sitam-pesha kahāñ sharm-o-hayā rakhte haiñ
ham ġharīboñ pe har ik zulm ravā rakhte haiñ
jeb meñ kuchh bhī nahīñ dil hai amīroñ jaisā
haath ḳhālī haiñ magar ḳhū-e-atā rakhte haiñ
bevafā.ī kā ye ilzām sarāsar hai ġhalat
ham to ajdād se virse meñ vafā rakhte haiñ
ham ne maanā ki tahī-dast haiñ par sab ke liye
dil meñ ganjīna-e-iḳhlās-o-vafā rakhte haiñ
jaane kis moḌ pe kyā hādisa pesh aa jaa.e
mustaqil jeb meñ ham apnā pata rakhte haiñ
shaam Dhaltī hai to nākāmiyāñ kartī haiñ niDhāl
sub.h hotī hai to ham azm nayā rakhte haiñ
jī-huzūrī kisī sūrat nahīñ hotī ham se
bas isī vāste ham sab ko ḳhafā rakhte haiñ
kyoñ kareñ fikr zamāne ke chalan kī 'bebāk'
ham to har haal meñ jiine kī adā rakhte haiñ
dil mein sharminda hain ehsas-e-KHata rakhte hain
hum gunahgar hain par KHauf-e-KHuda rakhte hain
wo sitam-pesha kahan sharm-o-haya rakhte hain
hum gharibon pe har ek zulm rawa rakhte hain
jeb mein kuchh bhi nahin dil hai amiron jaisa
hath KHali hain magar KHu-e-ata rakhte hain
bewafai ka ye ilzam sarasar hai ghalat
hum to ajdad se wirse mein wafa rakhte hain
hum ne mana ki tahi-dast hain par sab ke liye
dil mein ganjina-e-iKHlas-o-wafa rakhte hain
jaane kis moD pe kya hadisa pesh aa jae
mustaqil jeb mein hum apna pata rakhte hain
sham Dhalti hai to nakaamiyan karti hain niDhaal
subh hoti hai to hum azm naya rakhte hain
ji-huzuri kisi surat nahin hoti hum se
bas isi waste hum sab ko KHafa rakhte hain
kyon karen fikr zamane ke chalan ki 'bebak'
hum to har haal mein jine ki ada rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.