dil mein shikwe to hashr uThate hain
dil meñ shikve to hashr uThāte haiñ
dekh kar tujh ko bhuul jaate haiñ
kū-e-mahbūb laakh duur sahī
ek lamhe meñ ghuum aate haiñ
tere aariz kā jab ḳhayāl aa.e
fasl-e-gul ke payām aate haiñ
raushnī kī talab meñ ham se log
apnā ghar-bār tak jalāte haiñ
kārobār-e-junūñ meñ ham jaise
daulat-e-dard-o-ġham kamāte haiñ
dil mein shikwe to hashr uThate hain
dekh kar tujh ko bhul jate hain
ku-e-mahbub lakh dur sahi
ek lamhe mein ghum aate hain
tere aariz ka jab KHayal aae
fasl-e-gul ke payam aate hain
raushni ki talab mein hum se log
apna ghar-bar tak jalate hain
karobar-e-junun mein hum jaise
daulat-e-dard-o-gham kamate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.