dil mein taswir teri aankh mein aasar tere
dil meñ tasvīr tirī aañkh meñ āsār tire
zaḳhm hāthoñ meñ liye phirte haiñ bīmār tire
ai shab-e-ranj-o-alam dekh zarā rahm to kar
aah kis karb meñ rahte haiñ azādār tire
zo'm hai tujh ko agar apne qabīle pe to sun
mere qadmoñ meñ gire the kabhī sardār tire
aaj bāzār meñ laa.ī ga.ī jab terī shabīh
bhāgte dauḌte aa pahuñche ḳharīdār tire
sāmne kyuuñ tirī ismat pe uThī hai uñglī
kyoñ ye charche haiñ musalsal pas-e-dīvār tire
in ke dukh-dard kā tujh se bhī mudāvā na huā
apnī hālat pe jo hañste rahe fankār tire
mujh se phir chhuTte hue abr-e-alam ne ye kahā
aaj kī shaam palaT ā.eñge ġham-ḳhvār tire
jaane kyā rañg 'rabāb' ab unheñ degī duniyā
kis qadar dard se labrez haiñ ash'ār tire
dil mein taswir teri aankh mein aasar tere
zaKHm hathon mein liye phirte hain bimar tere
ai shab-e-ranj-o-alam dekh zara rahm to kar
aah kis karb mein rahte hain azadar tere
zo'm hai tujh ko agar apne qabile pe to sun
mere qadmon mein gire the kabhi sardar tere
aaj bazar mein lai gai jab teri shabih
bhagte dauDte aa pahunche KHaridar tere
samne kyun teri ismat pe uThi hai ungli
kyon ye charche hain musalsal pas-e-diwar tere
in ke dukh-dard ka tujh se bhi mudawa na hua
apni haalat pe jo hanste rahe fankar tere
mujh se phir chhuTte hue abr-e-alam ne ye kaha
aaj ki sham palaT aaenge gham-KHwar tere
jaane kya rang 'rabab' ab unhen degi duniya
kis qadar dard se labrez hain ash'ar tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.