dil mein tere KHayal ki KHushbu
Interesting Fact
(Neend poori na huii) Pg. 66
dil meñ tere ḳhayāl kī ḳhushbū
hijr meñ hai visāl kī ḳhushbū
dil ke jazbe javān rakhtī hai
tere husn-o-jamāl kī ḳhushbū
kaash tere javāb se aa.e
mere har ik savāl kī ḳhushbū
kaash tujh ko bhī ho kabhī mahsūs
mere nā-gufta haal kī ḳhushbū
mujh ko apne zavāl meñ se bhī
aa rahī hai kamāl kī ḳhushbū
ham faqīroñ se duur rahtī hai
hashmat-o-jāh-o-māl kī ḳhushbū
phuul se aa rahī hai jo sab ko
asl meñ hai nihāl kī ḳhushbū
ek paude ke phuul haiñ lekin
hai judā Daal Daal kī ḳhushbū
hai 'munavvar' tumhāre hoñToñ meñ
ik parī-ruḳh ke ḳhaal kī ḳhushbū
dil mein tere KHayal ki KHushbu
hijr mein hai visal ki KHushbu
dil ke jazbe jawan rakhti hai
tere husn-o-jamal ki KHushbu
kash tere jawab se aae
mere har ek sawal ki KHushbu
kash tujh ko bhi ho kabhi mahsus
mere na-gufta haal ki KHushbu
mujh ko apne zawal mein se bhi
aa rahi hai kamal ki KHushbu
hum faqiron se dur rahti hai
hashmat-o-jah-o-mal ki KHushbu
phul se aa rahi hai jo sab ko
asl mein hai nihaal ki KHushbu
ek paude ke phul hain lekin
hai juda Dal Dal ki KHushbu
hai 'munawwar' tumhaare honTon mein
ek pari-ruKH ke KHal ki KHushbu
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 64)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.