dil mein tere KHayal ki duniya liye hue
dil meñ tire ḳhayāl kī duniyā liye hue
baiThā huuñ ek kuuze meñ dariyā liye hue
jis meñ na zindagī kā sukūñ hai na kaifiyat
kuchh log ḳhush haiñ aisā saverā liye hue
yā-rab ġhurūr-e-zabt-e-mohabbat kī ḳhair ho
āñkheñ haiñ ik thamā huā dariyā liye hue
faiz-e-bahār-o-jashn-e-charāġhāñ ke bāvajūd
kuchh rāste haiñ ab bhī añdherā liye hue
ta.amīr-e-qasr-e-nau kī tamanna bajā magar
ḳhud shīshagar hai haath meñ tesha liye hue
jab bhī us anjuman meñ ga.e haiñ ham ai 'nihāl'
peshāniyāñ milī haiñ pasīna liye hue
dil mein tere KHayal ki duniya liye hue
baiTha hun ek kuze mein dariya liye hue
jis mein na zindagi ka sukun hai na kaifiyat
kuchh log KHush hain aisa sawera liye hue
ya-rab ghurur-e-zabt-e-mohabbat ki KHair ho
aankhen hain ek thama hua dariya liye hue
faiz-e-bahaar-o-jashn-e-charaghan ke bawajud
kuchh raste hain ab bhi andhera liye hue
tamir-e-qasr-e-nau ki tamanna baja magar
KHud shishagar hai hath mein tesha liye hue
jab bhi us anjuman mein gae hain hum ai 'nihaal'
peshaniyan mili hain pasina liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.