dil mein tujhko shumar kar lun main
dil meñ tujh ko shumār kar luuñ maiñ
ho ijāzat to pyaar kar luuñ maiñ
is ḳhizāñ ko sameT lo tum to
mausam-e-ḳhush-gavār kar luuñ maiñ
ishq agar jurm hai to jurm-e-sanam
be-sabab be-shumār kar luuñ maiñ
tum ne va.ada kiyā hai aane kā
do ghaḌī intizār kar luuñ maiñ
saarī duniyā ko jiit luuñ pal meñ
tujh pe gar iftiḳhār kar luuñ maiñ
haath hāsil se phir milā.ūñgā
pahle dariyā to paar kar luuñ maiñ
kyā mulāqāt phir kabhī hogī
yā use yādgār kar luuñ maiñ
dil mein tujh ko shumar kar lun main
ho ijazat to pyar kar lun main
is KHizan ko sameT lo tum to
mausam-e-KHush-gawar kar lun main
ishq agar jurm hai to jurm-e-sanam
be-sabab be-shumar kar lun main
tum ne wada kiya hai aane ka
do ghaDi intizar kar lun main
sari duniya ko jit lun pal mein
tujh pe gar iftiKHar kar lun main
hath hasil se phir milaunga
pahle dariya to par kar lun main
kya mulaqat phir kabhi hogi
ya use yaadgar kar lun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.