dil mein umang aankhon mein hasrat liye phirun
dil meñ umañg āñkhoñ meñ hasrat liye phirūñ
maiñ shahr shahr terī mohabbat liye phirūñ
rusvā.iyoñ ke ḳhauf se ḳhāmoshiyoñ ke saath
maiñ dil meñ tere pyaar kī lazzat liye phirūñ
jachtā nahīñ hai koī nigāhoñ meñ in dinoñ
har-pal tire ḳhayāl kī nudrat liye phirūñ
ubhregā tere lab se kabhī harf-e-dostī
dil meñ is intizār kī hasrat liye phirūñ
'mahvar' samā.atoñ ke mile band dar mujhe
hoñToñ pe apne harf-e-shikāyat liye phirūñ
dil mein umang aankhon mein hasrat liye phirun
main shahr shahr teri mohabbat liye phirun
ruswaiyon ke KHauf se KHamoshiyon ke sath
main dil mein tere pyar ki lazzat liye phirun
jachta nahin hai koi nigahon mein in dinon
har-pal tere KHayal ki nudrat liye phirun
ubhrega tere lab se kabhi harf-e-dosti
dil mein is intizar ki hasrat liye phirun
'mahwar' samaaton ke mile band dar mujhe
honTon pe apne harf-e-shikayat liye phirun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.