dil mein unki yaadon ke jab diye jalate hain
dil meñ un kī yādoñ ke jab diye jalāte haiñ
dāman-e-taḳhayyul par phuul muskurāte haiñ
tum shikast-e-dil par kyoñ is qadar pareshāñ ho
ā.inoñ kā kyā vo to yuuñ hī TuuT jaate haiñ
aap se to qurbat meñ fāsle rahe qaa.em
log to qarīb aa kar raah bhuul jaate haiñ
raat yuuñ guzartī hai kashmakash ke māroñ kī
ik diyā jalāte haiñ ik diyā bujhāte haiñ
jab nigāh paḌtī hai zindagī ke chehre par
āñkheñ DabDabātī haiñ hoñT thartharāte haiñ
yaad se muzayyan hai aaj bhī dil-e-'sumbul'
log biite lamhoñ ko kis tarah bhulāte haiñ
dil mein un ki yaadon ke jab diye jalate hain
daman-e-taKHayyul par phul muskuraate hain
tum shikast-e-dil par kyon is qadar pareshan ho
aainon ka kya wo to yun hi TuT jate hain
aap se to qurbat mein fasle rahe qaem
log to qarib aa kar rah bhul jate hain
raat yun guzarti hai kashmakash ke maron ki
ek diya jalate hain ek diya bujhate hain
jab nigah paDti hai zindagi ke chehre par
aankhen DabDabaati hain honT thartharaate hain
yaad se muzayyan hai aaj bhi dil-e-'sumbul'
log bite lamhon ko kis tarah bhulate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.