dil mein utroge to ek ju-e-wafa paoge
dil meñ utroge to ik jū-e-vafā pāoge
mauj-dar-mauj samundar kā patā pāoge
maiñ to kho jā.ūñgā tanhā.ī-e-jañgal meñ kahīñ
tum bhare ghar meñ kahāñ mujh ko bhalā pāoge
dil se be-sāḳhta umDe haiñ baḌhāo kaf-e-dast
aaj aañsū ko bhī ham-rañg-e-hinā pāoge
aag hī aag sahī ḳhvāb meñ jal kar dekho
is jahannum meñ bhī jannat kī havā pāoge
ġham uThāne kā ye andāz batātā hai 'na.īm'
ik na ik roz vafāoñ kā sila pāoge
dil mein utroge to ek ju-e-wafa paoge
mauj-dar-mauj samundar ka pata paoge
main to kho jaunga tanhai-e-jangal mein kahin
tum bhare ghar mein kahan mujh ko bhala paoge
dil se be-saKHta umDe hain baDhao kaf-e-dast
aaj aansu ko bhi ham-rang-e-hina paoge
aag hi aag sahi KHwab mein jal kar dekho
is jahannum mein bhi jannat ki hawa paoge
gham uThane ka ye andaz batata hai 'naim'
ek na ek roz wafaon ka sila paoge
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 137)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.