dil mein wafa ki hai talab lab pe sawal bhi nahin
dil meñ vafā kī hai talab lab pe savāl bhī nahīñ
ham haiñ hisār-e-dard meñ us ko ḳhayāl bhī nahīñ
vo jo anā parast hai maiñ bhī vafā parast huuñ
us kī misāl bhī nahīñ merī misāl bhī nahīñ
ahd-e-visāl-e-yār kī tujh meñ nihāñ haiñ dhaḌkaneñ
mauja-e-ḳhūn-e-ehtiyāt ḳhud ko uchhāl bhī nahīñ
tum ko zabān de chuke dil kā jahān de chuke
ahd-e-vafā ko toḌ deñ apnī majāl bhī nahīñ
us se kaho ki do ghaḌī ham se vo aa mile kabhī
maanā ye hai muhāl par itnā muhāl bhī nahīñ
dil mein wafa ki hai talab lab pe sawal bhi nahin
hum hain hisar-e-dard mein us ko KHayal bhi nahin
wo jo ana parast hai main bhi wafa parast hun
us ki misal bhi nahin meri misal bhi nahin
ahd-e-visal-e-yar ki tujh mein nihan hain dhaDkanen
mauja-e-KHun-e-ehtiyat KHud ko uchhaal bhi nahin
tum ko zaban de chuke dil ka jahan de chuke
ahd-e-wafa ko toD den apni majal bhi nahin
us se kaho ki do ghaDi hum se wo aa mile kabhi
mana ye hai muhaal par itna muhaal bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.