dil mein viraniyan sisakti hain
dil meñ vīrāniyāñ sisaktī haiñ
kaisī rūheñ yahāñ bhaTaktī haiñ
ye ta.āqub meñ kaun aatā hai
kis kī parchhā.iyāñ lapaktī haiñ
raunaqeñ jañgaloñ meñ girya-kunāñ
shahr meñ āñdhiyāñ bilaktī haiñ
āsmāñ TuuT kar nahīñ girtā
bijliyāñ rāt-bhar kaḌaktī haiñ
'ishq aaseb ho gayā jaise
ḳhvāhisheñ zahr ban ke paktī haiñ
gum hue qāfile tamannā ke
manzileñ rāstoñ ko taktī haiñ
dil meñ ruktī nahīñ tirī yādeñ
nok-e-mizhgāñ se aa Tapaktī haiñ
ḳhauf aatā hai jāgne se hameñ
varna āñkheñ kahāñ jhapaktī haiñ
dil mein viraniyan sisakti hain
kaisi ruhen yahan bhaTakti hain
ye taaqub mein kaun aata hai
kis ki parchhaiyan lapakti hain
raunaqen jangalon mein girya-kunan
shahr mein aandhiyan bilakti hain
aasman TuT kar nahin girta
bijliyan raat-bhar kaDakti hain
'ishq aaseb ho gaya jaise
KHwahishen zahr ban ke pakti hain
gum hue qafile tamanna ke
manzilen raston ko takti hain
dil mein rukti nahin teri yaaden
nok-e-mizhgan se aa Tapakti hain
KHauf aata hai jagne se hamein
warna aankhen kahan jhapakti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.