dil mein yaad-e-KHuda bhi aati hai
dil meñ yād-e-ḳhudā bhī aatī hai
ḳhvāhish-e-mā-sivā bhī aatī hai
is tazādāt ke jazīre par
habs hai aur havā bhī aatī hai
raushnī bhī hai is añdhere meñ
ḳhāmushī hai sadā bhī aatī hai
ḳhvāhishoñ se udhar kī ḳhvāhish meñ
hameñ dil se hayā bhī aatī hai
kal duā ne ye mujh se pūchhā thā
kyā tumheñ bad-duā bhī aatī hai
dil mein yaad-e-KHuda bhi aati hai
KHwahish-e-ma-siwa bhi aati hai
is tazadat ke jazire par
habs hai aur hawa bhi aati hai
raushni bhi hai is andhere mein
KHamushi hai sada bhi aati hai
KHwahishon se udhar ki KHwahish mein
hamein dil se haya bhi aati hai
kal dua ne ye mujh se puchha tha
kya tumhein bad-dua bhi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.