dil mein yaadon ka ek jangal hai
dil meñ yādoñ kā ek jangal hai
bebasī is meñ jaise daldal hai
ḳhvāhisheñ haiñ ki raah taktī haiñ
dāstāñ hai ki nā-mukammal hai
haa.e sahrā meñ tishnagī ke sabab
marne vaale kā naam bādal hai
ye na samjho ki shāhzādī kā
din hai resham to raat maḳhmal hai
jaise ho sar pe koī bhuut savār
aise vo dushmanī meñ pāgal hai
aadmī gir gayā bahut 'zāhid'
vaise kahne ko sab se afzal hai
dil mein yaadon ka ek jangal hai
bebasi is mein jaise daldal hai
KHwahishen hain ki rah takti hain
dastan hai ki na-mukammal hai
hae sahra mein tishnagi ke sabab
marne wale ka nam baadal hai
ye na samjho ki shahzadi ka
din hai resham to raat maKHmal hai
jaise ho sar pe koi bhut sawar
aise wo dushmani mein pagal hai
aadmi gir gaya bahut 'zahid'
waise kahne ko sab se afzal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.