dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke
dil meñ yuuñ pyaar kī ik taaza kahānī mahke
jaise āñgan men kahīñ rāt-kī-rānī mahke
maiñ ne lafzoñ ko kahāñ us kī taraf moḌā hai
zikr aa jaa.e jo us kā to kahānī mahke
sar se pā tak use ḳhushbū kā ḳhazāna kahiye
baiThe dariyā meñ utar jaa.e to paanī mahke
ġham kī sadiyoñ kī amānat hai ġhazal kī tahzīb
'mīr' ke ba.ad usī rañg meñ 'fānī' mahke
is ko kahte haiñ mohabbat kā karishma 'mansūr'
merī ġhazloñ meñ mirā dushman-e-jānī mahke
dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke
jaise aangan mein kahin raat-ki-rani mahke
main ne lafzon ko kahan us ki taraf moDa hai
zikr aa jae jo us ka to kahani mahke
sar se pa tak use KHushbu ka KHazana kahiye
baiThe dariya mein utar jae to pani mahke
gham ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzib
'mir' ke baad usi rang mein 'fani' mahke
is ko kahte hain mohabbat ka karishma 'mansur'
meri ghazlon mein mera dushman-e-jaani mahke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.