dil mera faqat tere nishane ke liye hai
dil merā faqat tere nishāne ke liye hai
aur is ke sivā jo hai zamāne ke liye hai
hañsne ke liye hai na hañsāne ke liye hai
ye anjuman-e-nāz jalāne ke liye hai
har shaḳhs kī āñkhoñ meñ masā.il ke haiñ aañsū
hoñToñ pe hañsī sirf dikhāne ke liye hai
us kā kabhī musbat koī pahlū nahīñ niklā
jo tum se ta.alluq hai nibhāne ke liye hai
jazbāt ke sho.aloñ se na khā ḳhauf ki āḳhir
ye aag bhī to aag bujhāne ke liye hai
ai 'shān' mujhe ḳhud nahīñ mālūm ki āḳhir
merī ye tag-o-dau kise paane ke liye hai
dil mera faqat tere nishane ke liye hai
aur is ke siwa jo hai zamane ke liye hai
hansne ke liye hai na hansane ke liye hai
ye anjuman-e-naz jalane ke liye hai
har shaKHs ki aankhon mein masail ke hain aansu
honTon pe hansi sirf dikhane ke liye hai
us ka kabhi musbat koi pahlu nahin nikla
jo tum se talluq hai nibhane ke liye hai
jazbaat ke shoalon se na kha KHauf ki aaKHir
ye aag bhi to aag bujhane ke liye hai
ai 'shan' mujhe KHud nahin malum ki aaKHir
meri ye tag-o-dau kise pane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.