dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka
dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka
Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
MORE BYMunshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
dil merā said siine meñ hai zulf-e-yār kā
hai bul-ajab haram meñ tarīqa shikār kā
aisī sharar-fishāñ hai mirī āh-e-pur-sharar
jis tarah chhūTne meñ ho aalam anaar kā
zill-e-karam meñ tere tamāzat kā zikr kyā
hai mehr par gumāñ shajar-e-sāya-dār kā
lahrā rahī hai ruḳh pe tire mauj-3xḳhatt-e-sabz
tuutī ko aa.ine meñ hai jalva bahār kā
dāġh-e-jigar kiyā hai atā mujh ko ishq ne
sikka hī kuchh alag hai mire shahr-yār kā
ruḳh par tumhāre ḳhaal jo dekhā qarīb-e-zulf
mujh ko gumān us pe huā chashm-e-mār kā
vo aa.eñ mere ghar to maiñ āñkhoñ meñ duuñ jagah
dekheñ vo lutf aañkh se abr-e-bahār kā
nazzāra-e-sanam kā in āñkhoñ ko shauq hai
kartī haiñ kaam qabr meñ bhī hoshiyār kā
bulbul na kyoñ asīr-e-mohabbat chaman meñ ho
daam us ke paañv meñ hai rag-e-gul ke taar kā
saude meñ zulf-e-yār ke jaarī haiñ tifl-e-ashk
goyā ravāñ hai qāfila chīn-o-tatār kā
vo mast-e-jām-e-ishq huuñ 'maz.har' ki hashr tak
mumkin nahīñ ki daḳhl ho is meñ ḳhumār kā
dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka
hai bul-ajab haram mein tariqa shikar ka
aisi sharar-fishan hai meri aah-e-pur-sharar
jis tarah chhuTne mein ho aalam anar ka
zill-e-karam mein tere tamazat ka zikr kya
hai mehr par guman shajar-e-saya-dar ka
lahra rahi hai ruKH pe tere mauj-3xKHatt-e-sabz
tuti ko aaine mein hai jalwa bahaar ka
dagh-e-jigar kiya hai ata mujh ko ishq ne
sikka hi kuchh alag hai mere shahr-yar ka
ruKH par tumhaare KHal jo dekha qarib-e-zulf
mujh ko guman us pe hua chashm-e-mar ka
wo aaen mere ghar to main aankhon mein dun jagah
dekhen wo lutf aankh se abr-e-bahaar ka
nazzara-e-sanam ka in aankhon ko shauq hai
karti hain kaam qabr mein bhi hoshiyar ka
bulbul na kyon asir-e-mohabbat chaman mein ho
dam us ke panw mein hai rag-e-gul ke tar ka
saude mein zulf-e-yar ke jari hain tifl-e-ashk
goya rawan hai qafila chin-o-tatar ka
wo mast-e-jam-e-ishq hun 'mazhar' ki hashr tak
mumkin nahin ki daKHl ho is mein KHumar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.