dil mera be-qarar kya kam tha
dil mirā be-qarār kyā kam thā
hijr bas ek baar kyā kam thā
os ne āñkheñ mujh se bhī māñgīñ
phuul phuul ashk-bār kyā kam thā
ham ne har ek kī taraf dekhā
ek parvardigār kyā kam thā
nāma-bar se to ḳhair bigḌī thī
mujh pe bhī e'tibār kyā kam thā
dil jalāyā hai kis liye 'rāval'
ik charāġh-e-mazār kyā kam thā
dil mera be-qarar kya kam tha
hijr bas ek bar kya kam tha
os ne aankhen mujh se bhi mangin
phul phul ashk-bar kya kam tha
hum ne har ek ki taraf dekha
ek parwardigar kya kam tha
nama-bar se to KHair bigDi thi
mujh pe bhi e'tibar kya kam tha
dil jalaya hai kis liye 'rawal'
ek charagh-e-mazar kya kam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.