dil mera be-qarar rahta hai
dil mirā be-qarār rahtā hai
ik tirā intizār rahtā hai
ik musāfir ke paañv meñ chhāle
aur rasta ġhubār rahtā hai
vo satāyā huā mohabbat kā
har jagah darkinār rahtā hai
ghar meñ laḌkī javāñ huī hai kyā
fikr ab be-shumār rahtā hai
mere sapne meñ aatā hai aksar
vo jo nadiyā ke paar rahtā hai
vo kaTā sā rahā zamāne se
us ke dil meñ ġhubār rahtā hai
jo muhājir kaTā kaTā sā thā
ghar meñ vo taar taar rahtā hai
dil mera be-qarar rahta hai
ek tera intizar rahta hai
ek musafir ke panw mein chhaale
aur rasta ghubar rahta hai
wo sataya hua mohabbat ka
har jagah darkinar rahta hai
ghar mein laDki jawan hui hai kya
fikr ab be-shumar rahta hai
mere sapne mein aata hai aksar
wo jo nadiya ke par rahta hai
wo kaTa sa raha zamane se
us ke dil mein ghubar rahta hai
jo muhajir kaTa kaTa sa tha
ghar mein wo tar tar rahta hai
- Book : احتزاز غزل (Pg. 73)
- Author : ساغر سیالکوٹی
- Publication : ساہتیہ کلش پبلی کیشن (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.