dil mera dekh dekh jalta hai
dil mirā dekh dekh jaltā hai
sham' kā kis pe dil pighaltā hai
ham-nashīñ zikr-e-yār kar ki kuchh aaj
is hikāyat se jī bahaltā hai
dil mizha tak pahuñch chukā juuñ ashk
ab sañbhāle se kab sañbhaltā hai
sāqiyā daur kyā kare hai tamām
aap hī ab ye daur chaltā hai
gandumī rang jo hai duniyā meñ
merī chhātī pe muuñg daltā hai
hai tavāzo' zarūr daulat ko
ho hai ḳham jo nihāl phaltā hai
apne 'āshiq kī soḳht par pyāre
kabhū kuchh dil tirā bhī jaltā hai
dekh kaisā patang kī ḳhātir
shola-e-sham.a haath maltā hai
aaj 'qā.em' ke she'r ham ne sune
haañ ik andāz to nikaltā hai
dil mera dekh dekh jalta hai
sham' ka kis pe dil pighalta hai
ham-nashin zikr-e-yar kar ki kuchh aaj
is hikayat se ji bahalta hai
dil mizha tak pahunch chuka jun ashk
ab sanbhaale se kab sanbhalta hai
saqiya daur kya kare hai tamam
aap hi ab ye daur chalta hai
gandumi rang jo hai duniya mein
meri chhati pe mung dalta hai
hai tawazo' zarur daulat ko
ho hai KHam jo nihaal phalta hai
apne 'ashiq ki soKHt par pyare
kabhu kuchh dil tera bhi jalta hai
dekh kaisa patang ki KHatir
shola-e-shama hath malta hai
aaj 'qaem' ke she'r hum ne sune
han ek andaz to nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.