dil mera jab tak kisi ke husn par mail na tha
dil mirā jab tak kisī ke husn par maa.il na thā
zindagī meñ zindagī kā lutf kuchh hāsil na thā
mere hisse kā koī sāġhar sar-e-mahfil na thā
tere mai-noshoñ meñ saaqī kyā maiñ is qābil na thā
jāñ-ba-lab mahfil meñ un kī maiñ na thā yā dil na thā
kaun thā jo un ke tīr-e-nāz kā ghā.il na thā
ik nazar milte hī un kā ho gayā kyā qahr hai
jis ko ham samajhte the apnā dil vo apnā dil na thā
bahr-e-ulfat kī talātum-ḳhez tuġhyānī na pūchh
har taraf tūfān hī tūfān hai sāhil na thā
nā-umīdī dard-o-ġham ranj-o-musībat ke sivā
chāhne vāloñ ko un ke aur kuchh hāsil na thā
ik ishāre par bahāyā ḳhuun paanī kī tarah
un ke jāñ-bāzoñ meñ koī mujh sā dariyā-dil na thā
sahl kar dī zindagī un kī umīd-e-dīd ne
varna un ke hijr meñ marnā koī mushkil na thā
aah 'sābir' jab huā merā safīna ġharq-e-āb
maiñ thā majbūrī thī aur koī lab-e-sāhil na thā
dil mera jab tak kisi ke husn par mail na tha
zindagi mein zindagi ka lutf kuchh hasil na tha
mere hisse ka koi saghar sar-e-mahfil na tha
tere mai-noshon mein saqi kya main is qabil na tha
jaan-ba-lab mahfil mein un ki main na tha ya dil na tha
kaun tha jo un ke tir-e-naz ka ghail na tha
ek nazar milte hi un ka ho gaya kya qahr hai
jis ko hum samajhte the apna dil wo apna dil na tha
bahr-e-ulfat ki talatum-KHez tughyani na puchh
har taraf tufan hi tufan hai sahil na tha
na-umidi dard-o-gham ranj-o-musibat ke siwa
chahne walon ko un ke aur kuchh hasil na tha
ek ishaare par bahaya KHun pani ki tarah
un ke jaan-bazon mein koi mujh sa dariya-dil na tha
sahl kar di zindagi un ki umid-e-did ne
warna un ke hijr mein marna koi mushkil na tha
aah 'sabir' jab hua mera safina gharq-e-ab
main tha majburi thi aur koi lab-e-sahil na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.