dil mera luT gaya wo baDi tauqir ke sath
dil mirā luuT gayā vo baḌī tauqīr ke saath
jo mujhe jiit na paayā kabhī shamshīr ke saath
koī kis tarah se badlegā muqaddar kā likhā
koī kis tarah se laḌ pā.egā taqdīr ke saath
dil kī nagrī se ka.ī ek musāfir guzre
koī Thahrā hī nahīñ hai dil-e-be-pīr ke saath
dard jab had se guzar jaa.e to kuchh baat bane
naam merā bhī kabhī aa.e taqī-'mīr' ke saath
maiñ use bhuul ke bhī yaad nahīñ aa saktī
jo mujhe bāñdh gayā dard kī zanjīr ke saath
maiñ ne minnat se aur minnat se tumheñ māñgā hai
tum jo mil sakte the mujh ko kisī tadbīr ke saath
ye hī alfāz mirī shaan haiñ sarmāya haiñ
kuchh taqābul nahīñ in kā kisī jāgīr ke saath
kaaT kar aaj ke aḳhbār ko ta.avīz kiyā
terī tasvīr chhapī hai tirī tahrīr ke saath
tujh ko rāñjhā se kabhī bhī koī nisbat na rahī
har fasāne meñ mirā zikr chalā hiir ke saath
aap pahlū se yuuñ chup-chāp lage baiThe haiñ
jaise tasvīr lagā de koī tasvīr ke saath
daad miltī hai 'tabassum' tujhe yuuñ der ke baa'd
tere ash.ār samajh aate haiñ tāḳhīr ke saath
dil mera luT gaya wo baDi tauqir ke sath
jo mujhe jit na paya kabhi shamshir ke sath
koi kis tarah se badlega muqaddar ka likha
koi kis tarah se laD paega taqdir ke sath
dil ki nagri se kai ek musafir guzre
koi Thahra hi nahin hai dil-e-be-pir ke sath
dard jab had se guzar jae to kuchh baat bane
nam mera bhi kabhi aae taqi-'mir' ke sath
main use bhul ke bhi yaad nahin aa sakti
jo mujhe bandh gaya dard ki zanjir ke sath
main ne minnat se aur minnat se tumhein manga hai
tum jo mil sakte the mujh ko kisi tadbir ke sath
ye hi alfaz meri shan hain sarmaya hain
kuchh taqabul nahin in ka kisi jagir ke sath
kaT kar aaj ke aKHbar ko tawiz kiya
teri taswir chhapi hai teri tahrir ke sath
tujh ko ranjha se kabhi bhi koi nisbat na rahi
har fasane mein mera zikr chala hir ke sath
aap pahlu se yun chup-chap lage baiThe hain
jaise taswir laga de koi taswir ke sath
dad milti hai 'tabassum' tujhe yun der ke ba'd
tere ashaar samajh aate hain taKHir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.