dil mera paemal karte hain
dil mirā pā.emāl karte haiñ
aap bhī bas kamāl karte haiñ
baat hotī hai aap kī lekin
log mujh se savāl karte haiñ
mai-kade ke faqīr ai saaqī
kab kisī se savāl karte haiñ
dil kā kyā ġham hameñ mohabbat meñ
dil kī vo dekh-bhāl karte haiñ
mujh ko kahte haiñ log dīvāna
aap nāhaq ḳhayāl karte haiñ
choT lagtī hai dil pe ai hamdam
jab vatan kā ḳhayāl karte haiñ
shukr kar shukr kar ki vo 'maikash'
tujh ko apnā ḳhayāl karte haiñ
dil mera paemal karte hain
aap bhi bas kamal karte hain
baat hoti hai aap ki lekin
log mujh se sawal karte hain
mai-kade ke faqir ai saqi
kab kisi se sawal karte hain
dil ka kya gham hamein mohabbat mein
dil ki wo dekh-bhaal karte hain
mujh ko kahte hain log diwana
aap nahaq KHayal karte hain
choT lagti hai dil pe ai hamdam
jab watan ka KHayal karte hain
shukr kar shukr kar ki wo 'maikash'
tujh ko apna KHayal karte hain
- Book : KHuli kitab (Pg. 67)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.