dil mera raqsan hai jab se aql is shorish mein hai
dil mirā raqsāñ hai jab se aql is shorish meñ hai
larzish-e-pā āsmāñ yā ye jahāñ larzish meñ hai
aaj se pahle zamīñ kī chaal to aisī na thī
tum zarā raftār dekho kis qadar gardish meñ hai
Thiik hai tujh ko milā hai mujh ko bhaTkāne kā kaam
ye magar kyā tū to har dam dāvat-e-laġhzish meñ hai
kis qadar phir ek ho jāveñ zamīn-o-āsmāñ
ham zamīn-o-āsmāñ vaale isī sāzish meñ haiñ
muntazir haiñ tishna-lab ye kausar-o-tasnīm kā
ek zanjīr-e-kashish bhī sāqi-e-mehvash meñ hai
dil mera raqsan hai jab se aql is shorish mein hai
larzish-e-pa aasman ya ye jahan larzish mein hai
aaj se pahle zamin ki chaal to aisi na thi
tum zara raftar dekho kis qadar gardish mein hai
Thik hai tujh ko mila hai mujh ko bhaTkane ka kaam
ye magar kya tu to har dam dawat-e-laghzish mein hai
kis qadar phir ek ho jawen zamin-o-asman
hum zamin-o-asman wale isi sazish mein hain
muntazir hain tishna-lab ye kausar-o-tasnim ka
ek zanjir-e-kashish bhi saqi-e-mehwash mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.