dil mera soz-e-nihan se umr bhar betab tha
dil mirā soz-e-nihāñ se umr bhar betāb thā
kashti-e-dil kā muqaddar pur-ḳhatar girdāb thā
vaañ ki aariz surḳh thā rañg-e-tilā-e-nāb se
yaañ vufūr-e-ashk se mizhgāñ mirā sīmāb thā
jaise khoje kāfiroñ meñ nik.hat-e-īmāñ koī
hāsil-e-haq is jahāñ meñ is qadar nāyāb thā
vaañ ki us ko niiñd misl-e-maġhfirat hāsil rahī
yaañ koī āzurdagī se tā-qazā be-ḳhvāb thā
jab likhā dil kā fasāna bah gayā kāġhaz kahīñ
ashk the itne ravāñ merā qalam pur-āb thā
sher aise kah ke bhī hāsil mirā gum-nām hai
varna merā ye hunar to qābil-e-alqāb thā
dil mera soz-e-nihan se umr bhar betab tha
kashti-e-dil ka muqaddar pur-KHatar girdab tha
wan ki aariz surKH tha rang-e-tila-e-nab se
yan wufur-e-ashk se mizhgan mera simab tha
jaise khoje kafiron mein nikhat-e-iman koi
hasil-e-haq is jahan mein is qadar nayab tha
wan ki us ko nind misl-e-maghfirat hasil rahi
yan koi aazurdagi se ta-qaza be-KHwab tha
jab likha dil ka fasana bah gaya kaghaz kahin
ashk the itne rawan mera qalam pur-ab tha
sher aise kah ke bhi hasil mera gum-nam hai
warna mera ye hunar to qabil-e-alqab tha
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 23)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.